The senses of a poet go long ways than any other human being. A poet will be able to hear what was never said and will be able to feel what was never shown. But the poet within me has started to feel the vacuum. He wants to get lost in oblivion.
na kisiki talash ho na kisika intezaar ho
meri zindagi bhi kuchh aisi hi abtaar ho
na rishto ka khichav ho na apno se lagaav ho
sunn pade zehen mein na kisike liye pyaar ho
koi bhi baat kehne ki dil mein bechaini na ho
na koi aur mujhe sun ne ke liye bekaraar ho
na meri koi pehchaan ho na meri koi yaad ho
gumnaam mera wajood benaam meri mazaar ho
chahu to bhi ruk na saku main saans lene ke liye
meri soch jitni hi mere kadamo ki raftaar ho
na koi mera qatil ho na koi mera masiha bane
dua karne ke liye bhi na koi parwar digaar ho
jane woh kaunsi baat thi jisne use tabah kiya
mujhe lekar yahi sawaal sabko baar baar ho